tark-e-wafa ke baad

tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin
tumhaara 'aks har lamhe ke aaine mein milta hai

bichhad kar tum se kitni shamen hans hans kar guzari hain
sajae kaise-kaise gesuon mein phul ashkon ke

lutai aabru-e-sajda kis-kis aastane par
piye hain kis qadar chhalke hue talkhab aankhon ke

mala chehre pe din ke kis tarah ghaza tabassum ka
siye hain zakhm kis-kis tarh se be-khwab raaton ke

tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin
tumhaari shakl ka har ek chehre par hua dhoka

sada jab bhi suni koi tumhaara nam yaad aaya
nigah-e-lutf ki chhanw ne de di ho aman jaise

kisi ko haal par apne kabhi jab mehrban paya
tumhaara nam le kar pas aae dard ke sae

tumhaara rup pa kar dil ne kis-kis ko na apnaya
tumhaare roz-o-shab se ab koi nisbat nahin lekin

tumhaara 'aks har lamhe ke aaine mein milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close