yak-ba-yak dhup niche giri jaise chini ki ek tashtari hath khamosh saat ke aage larazne laga aur kahne se honton ke andar chhupi barq aa kar chamakne lagi aashiyan jal gaya sham ka raqs maidan-e-hangama-e-khauf mein garm hota raha pankhudi pankhudi qatra qatra utarta raha main ki diwar ke samne dhup ka tez jhonka banun aag ke darmiyan ek pani ka qatra banun khun zabanon ke shadab mein ek aawaz hone ka sahra banun ruh ki garm lahron mein ek chashm hone ka chashma banun tez masruf aankhon mein ek hadsa ka tamasha banun aur wo khwab ki ungliyon mein phansa nam hai nile patton mein rista hua sabza-e-sard ayyam hai han yun hi baithe baithe meri sari baaten suno rone hansne ki koi zarurat nahin