aa ki dil ki chandni ru-posh hai tere baghair aa ki saz-e-zindagi khamosh hai tere baghair id ho tum ko mubarak han magar mere liye zindagi kya hai wabaal-e-dosh hai tere baghair aa ki zahar ab baada-e-sar-josh hai tere baghair hai khizan-aluda subh-e-gulsitan tere baghair khanda-e-gul hai tabiat par garan tere baghair jalwa-e-sarw-o-saman mein ab kahan wo dilkashi gharq hasrat hai dil-e-na-shadman tere baghair aa ki mahrum-e-tarab hun jaan-e-jaan tere baghair ro rahe hain ghuncha-o-barg-o-shajar tere baghair bagh ki sari faza hai nauhagar tere baghair ek basit ehsas-e-mahrumi meri har sans mein kar raha hai zindagi ko mukhtasar tere baghair aa ki ab tarik hai sara jahan tere baghair dil ko aae kya mohabbat mein sukun tere baghair ho gae aql-o-khirad nazr-e-junun tere baghair dil hai aur aathon-pahar ek wahshat-e-be-ikhtiyar aankh hai aur barish-e-sailab-e-khun tere baghair aa ki ruswa hai mera haal-e-zabun tere baghair