aaj parwaz khayalon ne juda si pai aaj phir bhuli hui yaad kisi ki aai jism mein saz khanakne ka hua hai ehsas aur bajne lagi sargam si kahin zehn ke pas meri zulfon ne bikhar kar koi sargoshi ki kaisi aawaz hui aaj ye khamoshi ki teri aahat tera andaz juda hai ab bhi tu hi duniya-e-mohabbat ki sada hai ab bhi is tasawwur pe 'alina' ko hansi aai hai ye koi aur nahin sham ki purwai hai