yahi shakh tum jis ke niche kisi ke liye chashm-e-nam ho yahan ab se kuchh sal pahle mujhe ek chhoti si bachchi mili thi jise main ne aaghosh mein le ke pucha tha beti yahan kyun khadi ro rahi ho mujhe apne bosida aanchal mein phulon ke gahne dikha kar wo kahne lagi mera sathi udhar us ne ungli utha kar bataya udhar us taraf hi jidhar unche mahlon ke gumbad milon ki siyah chimniyan aasman ki taraf sar uthae khadi hain ye kah kar gaya hai ki main sone chandi ke gahne tere waste lene jata hun 'rami'