mere bistar ke pas pili pili idhar jal rahi hai jo ek mom-batti usi ki larazti hui raushni mein main qasdan kitab ek padhne ki koshish mein hun achanak se kanpta wo shoala meri bedar aankhon ko marub karta hai aise ki main us ke is nach mein aur pighle hue mom mein mahw ho jati hun jo pighle hue mom ke gird be-tarah shaklen banane mein mashghul hai der tak main use dekhti hun yahan tak ki pighle hue mom ke siwa kuchh bhi bachta nahin hai main chhup jati hun lambe pardon ke bich aur takiye pe sar rakh ke us mom-batti ke bare mein phir sochti hun jo baqi hai aur apne jiwan ke bare mein bhi jo ki hai sawal uthta hai ki meri zindagi bhi is tarah kuchh der tak jalti jalti chamakti hui khatm ho jaegi ain mumkin hai aisa hi ho aur mission mera pura to ho jaega agar ye faqat chand ghante jale aur dusron ke liye kuchh chamak aur damak bhi muhayya kar le