tamam zindagi par wo ek lamha bhaari hai jis lamhe teri nigah mujh pe tari hai bas mein hota to rok lete us lamhe ko aaj tak chhai hum par wo khumari hai jannat bhi mil gai to kah denge ye khuda se hum us lamhe ko dohra de phir jahannum ki galiyan bhi hamein pyari hain han khud-gharz hain to itna shor kyon machate ho zindagi jine ki ab to hamari bari hai na do mashwara hum ko ki zara sanbhal kar chalo ab to har din meri holi aur har raat diwali hai jao kisi ranjish ko ab tum hawa de do ye aag to abhi aur bhi bhadakne wali hai bade ahmaq ho use bhulne ko kahte ho jite ji marne ki niyyat nahin hamari hai jo khuda bhi mangega hum se zindagi ka hisab us hasin lamhe ke siwa meri sari kitab khali hai