raat ke hath pe jalti hui ek sham-e-wafa apna haq mangti hai dur khwabon ke jazire mein kisi rauzan se subh ki ek kiran jhankti hai wo kiran darpa-e-azar hui jati hai meri gham-khwar hui jati hai aao kirnon ko andheron ka kafan pahnaen ek chamakta hua suraj sar-e-maqtal laen tum mere pas raho aur yahi baat kaho aaj bhi harf-e-wafa bais-e-ruswai hai apne qatil se meri khub shanasai hai