main jita hun aainon mein aaine gham-khane hain mera aks bana lete hain apni apni marzi se main jita hun kuchh sinon mein sine aaina-khane hain mera naqsh bana lete hain apni apni marzi se main jita hun mitti par mitti jis se ghar bante hain jis se qabren banti hain jis ka zarra zarra auron ka hai un ka jin mein main hun jo mujh mein hain aks kaha karte hain dekho tum aise ho naqsh kaha karte hain aise ban sakte ho zarre kahte hain tum aise ban jaoge tum batla sakte ho aakhir main kya hun tum kya batlaoge tum khud aaina-khana ho gham-khana ho ghar ho qabr ho tum khud main ho