khala mein ghaur se dekhun to ek taswir banti hai aur is taswir ka chehra tere chehre se milta hai wahi aankhen wahi rangat wahi hain khal-o-khad sare meri aankhon se dekhe to tujhe is aks ke chehre pe ek til bhi dikhai de jo bilkul tere chehre par saje us til ke jaisa hai jo gahra hai bahut gahra samundar se bhi gahra hai ki us gahrai mein aksar 'shanawar' dub jata hai