kaun hai sudi begam us ko jaante ho tum wo jis ke qabze mein the raziya ke kangan jis ke hathon mein thi raziya ki har aati jati sans ki dor jis ke pas pade the us ke girwi khwab raziya ki shadi sar par thi aur dil mein tha sudi begam ki sudi aankhon ka khauf sudi begam ke changul se sud-o-ziyan ke is jangal se raziya bhagna chahti thi warna ek din sudi begam us ke ek ek pal ka sona kha jaegi aur us ke baalon mein chandi aa jaegi raziya ke andeshe us ko daste rahte raaton ko uth uth kar is par hanste rahte be-kal be-kal roti rahti raziya bhal-bhal roti rahti us ke honton aur galon se hijrat kar gai sari lali rote rote ek din raziya ki aankhen bhi ho gain khali khali aangan khali bartan aur andar ke khali-pan se aajiz aa kar roz roz ki is uljhan se aajiz aa kar us ne ek tarkib nikali gullak toda sikke jode chappal pahni majburi ki chadar odhi ghar se nikli rickshaw pakda aur ek bank ke darwaze pe ja utri wo bank mein pahla qadam rakha to us ki chappal mote se qalin mein dhans gai raziya phir ghundon mein phans gai