shararat ki putli thi baji ki munni wo itni si fitni thi baji ki munni idhar aur udhar thi wo bas aati jati yun hi phirti rahti wo dande bajati kabhi be-kahe chiz us ki utha li na puchha-gachha munh mein rakh jhat se kha li kabhi munh banaya kabhi munh chidhaya kabhi pas baithe hue ko hataya kabhi baal noche kabhi chutkiyan lin kabhi pin chubho di kabhi ghudkiyan din kabhi is saheli ka juta chhupaya kabhi us saheli ka halwa udaya kitab us ki phadi dawat us ki todi gharaz koi baqi shararat na chhodi shararat se bas buti buti bhari thi wo munni shararat ki ek phuljhadi thi kadhai banai na khana pakana na sina pirona na padhna padhana wo ghar ka koi kaam-dhanda na karti yun hi sare din ghar mein be-kar phirti kahani ye munni ki hai khub 'nayyar' padhi jaegi shauq se khub ghar ghar