raat sannate ki chadar mein padi hai lipti pattiyan sadkon ki sab jag rahi hain jaise dekhna chahti hain shahr mein kya hota hai main hamesha ki tarah honton mein cigarette ko dabae sone se pahle khayalat mein khoya hua hun din mein kya kuchh kiya ek jaeza leta hai zamir ek sada sa waraq nama-e-amal hai sab kuchh nahin likkha ba-juz is ke pise jao yunhi kuchh nahin likha bas ek itna ki insan ka nasib gili gundhi hui mitti ka hai ek toda sa din mein sau shaklen bana karti hain is mitti se kuchh nahin likha bas ek itna ki chyunti dil hai jauq-dar-jauq jo insan nazar aate hain dana le kar kisi diwar pe chadhna girna aur phir chadhna chadhe jaana yunhi sham o sahar kuchh nahin likkha bas itna ki pise jao yunhi aur andoh tassuf khushi aalam nashat khud ko sau namon se bahlate raho chalte raho sans ruk jae jahan samjho wahin manzil hai aur is daud se thak jao to cigarette pi lo