apne teacher ko nachaen to maza aa jae un ki ainak ko churaen to maza aa jae un ke dande ko chhupaen to maza aa jae aaj ji bhar ke sataen to maza aa jae kaun sa din hai jo teacher ne nahin mara hai hum ne har kaam kiya phir bhi to phatkara hai un ka ghussa hai ki dahka hua angara hai aag mein aag lagaen to maza aa jae munh pe chante bhi diye hum ne banaya murgha hum ne school se har roz ye tamgha paya kitne jallad hain teacher are allah allah hum bhi munh un ka chadhaen to maza aa jae wo padhate hain to ausan khata hote hain haq padhai ke ye dushwar ada hote hain hum agar rote hain phir aur khafa hote hain aaj un ko bhi rulaen to maza aa jae un ki kursi pe chalo aao patakhe bandhen jab wo aaen to patakhon ka tadapna dekhen hum bhi shagird-e-sitam-gar hain itna manen pichhe pichhe hi bhagaen to maza aa jae un ki jo chiz hai chupke se chhupa den aao pan bidi ki jo dibiya hai uda den aao hum shararat ke nae jal bichha den aao wo kisi jal mein aaen to maza aa jae wo agar samne aa jaen to mil kar chikhen wo kahen chup raho hum aur bhi hans kar chikhen aur wo aankhen dikhaen to akad kar chikhen un ko diwana banaen to maza aa jae