pas hue

ji-jaan se hum ne mehnat ki aur awwal-number pas hue
school se hum ne ulfat ki hum awwal-number pas hue

picture bhi nahin dekhi hum ne hokey bhi nahin kheli hum ne
le le ke kitaben padhte rahe aur khub padhai ki hum ne

ustad ki hum ne izzat ki hum awwal-number pas hue
ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

din-raat jo khela karte the wo bhai hamare fail hue
din-raat jo ghuma karte the wo bhai hamare fail hue

us khel se hum ne nafrat ki hum awwal-number pas hue
ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

ab pyar se ammi kahti hain ek suit tumhein banwa denge
ab pyar se papa kahte hain dilli se khilauna la denge

man-bap ki hum ne khidmat ki hum awwal-number pas hue
ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue

har sal rahenge hum awwal aur aage badhte jaenge
is desh ke nanhe munne hain hum apne hunar dikhlaenge

kya baat hamari himmat ki hum awwal-number pas hue
ji-jaan se hum ne mehnat ki hum awwal-number pas hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close