sharik-e-gham

bahut maghrur ho tum bhi
mohabbat ko samajhte ho

ki jaise dhul panw ki
ki jaise khak rahon ki

magar jaanan zara socho
ruko lamhe ko aur dekho

kahin aisa na ho jae
tumhaara dil badal jae

satae yaad chahat ki
ye aansu rog ban jaen

tumhein aur hum ko tadpaen
zara thahro meri sun lo

ki main tum ko samajhti hun
zara tum se ziyaada hi

mujhe parwa nahin apni
nahin hai maslahat koi

kahin aisa na ho jae
bahut sa waqt bah jae

aur aisa mod aa jae
jahan se rasta koi bhi

mujh tak tum ko na lae
mujhe afsos hai jaanan

ki main to hun hi aazurda
tumhaari muskurahat bhi

kahin aansu na ban jae
sharik-e-gham tumhaari hun

tumhaari khair khwah bhi hun
yahin ruk jao mat jao

yahi tum se kaha tha na?
magar tum ko to shayad nit-nae mausam bulate the

nae sur aur nae giton ke sangam gungunate the
to phir tum ko khamoshi ki zaban

mushkil tha samjhana
ye dukh tum ko hi sahna tha

to phir anjaan ban jaana
faqat ek ye hi rasta tha

jise hum ne sahal jaana
magar tujh ko udasi mein yun ab dekha nahin jata

teri ghayal nazar ka samna mujh se nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close