thake-mande parinde

parinde ud rahe hain dur ufuq
bojhal fazaon mein

thake-mande paron mein
aagahi ki shorishen le kar

panahen dhundte hain
qurmuzi kirnon ke daman mein

koi ja-e-panah ho
kunj ho

kaliyon ka aangan ho
koi sahra ho nakhlistan ho

be-ab dariya ho
thake-mande parinde ud rahe hain

sham sar par hai
faqat ek raat ka thahraw

ek ehsas ki wadi
meri qismat mein likh de

ai mere parwardigar ab to
parinde thak chuke hain

bojh lade zindagi bhar ka
koi tara kahin chamke

kahin aansu koi dhalke
ki manzil ka nishan ubhre

thake-mande parinde ud rahe hain dur wadi mein
isi ummid par roki nahin parwaz tair ne

koi bhuli hui manzil bhi apni muntazir hogi
unhi anjaan raston mein kahin wo rahguzar hogi

jahan lamhe ko do panchhi
sukun ka sans le lenge

adam ke par jaane se zara pahle
zara haule

koi dam bhar ko ji lenge
zara sa muskuraenge

thake-mande parinde ud rahe hain
nil wadi mein

yahin ek jhil hai aur pas hi
bahta hai jharna bhi

yahin par ghas hai shabnam se bojhal
motiyon jaisi

thake-mande parinde ab zara aaram chahte hain
zara dam bhar ko aankhen mund kar bisram chahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close