shauhar ki fariyaad

ai meri begam na tu meri khudi kamzor kar
ye sharifon ka mohalla hai na itna shor kar

shab ke pur-taskin lamhon mein na mujh ko bor kar
is saadat-mand shauhar ko na yun ignore kar

dida-o-dil teri chahat ke liye betab hain
mujh se shauhar aaj-kal bazar mein nayab hain

mere aane par hai pabandi kabhi jaane pe hai
hai kabhi pine pe qadghan aur kabhi khane pe hai

sham tak ye bojh kitna tere diwane pe hai
ek bachcha hai baghal mein dusra shane pe hai

baithta hai mujh pe zalim donon ghutne jod kar
ye tera bachcha rahega meri gardan tod kar

meri har khwahish pe to kahti hai ho kar khashmagin
achchhe shauhar is tarah ki zid kiya karte nahin

to jo tw mujh ko la deti meri raushan-jabin
main koi pagal hun phir bhi sham ko jaun kahin

mujh ko har phanda gawara hai ye dana bhi to ho
ghar mein rahne ke liye koi bahana bhi to ho

aaj ka shauhar jise karna samajhta hai haram
main tere wo kaam bhi karta hun manind-e-ghulam

mere zimme ghar ki zebaish ka sara ehtimam
hai meri tahwil mein tere kitchen tak ka nizam

aur gham dene lage tu aur tadpane lage
tere bas mein ho to bachche mujh se janwane lage

kar na thanda sard-mehri se mera josh-e-talab
narawa hai ye tashaddud na-munasib ye ghazab

kis liye paband kar rakkha hai mujh ko be-sabab
tu khuda ke waste bas aaj jaane de club

tash khelunga na ji shatranj se bahlaunga
shab ke sadhe aath se pahle main ghar aa jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close