dair o kaba ka main nahin qael dair o kaba ko aastan na bana mujh mein tu ruh-e-sarmadi mat phunk raunaq-e-bazm-e-arifan na bana dasht-e-zulmat mein bhatakne de meri rahon ko kahkashan na bana ishrat-e-jahl-o-tirgi mat chhin mahram-e-raaz-e-do-jahan na bana bijliyon se jahan na ho chashmak us gulistan mein aashiyan na bana khar-e-chashm-e-harif rahne de hirz-e-bazu-e-dostan na bana meri khud-biniyan na le mujh se jalwa-afroz-e-mahwishan na bana dil-e-sad-para-ehawadis ko takhta-e-mashq-e-gul-rukhan na bana meri khuddariyon ka khun na kar mutrib-e-bazm-e-dil-baran na bana mah-o-anjum se mujh ko kya nisbat mujh ko in ka mizaj-dan na bana jis ko apni khabar nahin rahti us ko salar-e-karwan na bana meri jaanib nigah-e-lutf na kar gham ko is darja kaamran na bana is zamin ko zamin hi rahne de is zamin ko tu aasman na bana meri hasti niyaz-o-shauq sahi is ko unwan-e-dastan na bana raaz tera chhapa nahin sakta tu mujhe apna raaz-dan na bana