raat odhe hue aai hai faqiron ka libas chand kashkol-e-gadai ki tarah nadim hai ek ek sans kisi nam ke sath aati hai ek ek lamha-e-azad nafas mujrim hai kaun ye waqt ke ghunghat se bulata hai mujhe kis ke makhmur ishaare hain ghataon ke qarib kaun aaya hai chadhane ko tamannaon ke phul in sulagte hue lamhon ki chitaon ke qarib wo to tufan thi, sailab ne pala tha use us ki madhosh umangon ka fusun kya kahiye thartharaate hue simab ki tafsir bhi kya raqs karte hue shoale ka junun kya kahiye raqs ab khatm hua maut ki wadi mein magar kisi pael ki sada ruh mein tabinda hai chhup gaya apne nihan-khane mein suraj lekin dil mein suraj ki ek aawara kiran zinda hai kaun jaane ki ye aawara kiran bhi chhup jae kaun jaane ki idhar dhund ka baadal na chhate kis ko malum ki pael ki sada bhi kho jae kis ko malum ki ye raat bhi kate na kate zindagi nind mein dube hue mandir ki tarah ahd-e-rafta ke har ek but ko liye suti hai ghantiyan ab bhi magar bajti hain sine ke qarib ab bhi pichhle ko, kai bar sahar hoti hai