sham jab dhalti hai main apne kharabe ki taraf lotta hun sar-nigun, bojhal qadam bara ghanton ki mashaqqat aur thakan badh ke le leti hai mujh ko god mein aur sail-e-tirgi mein dub jati hai ummid o shauq ki ek ek kiran rahguzar-e-arzu par chaar-su udti hai dhul aur ek aawaz aati hai kahin se jo ki an-jaani bhi pahchani bhi hai zindagi kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin ek musalsal marg, ek sail-e-bala, nezon ke ban aahon, karahon ke siwa phir isi tarik lamhe, phir isi nazuk ghadi aarzu ki rahguzar par chand naqsh-e-pa ubharte hain sitaron ki tarah lahlahata hai koi aanchal bahaaron ki tarah phail jati hai kisi gesu ki nikhat chaar-su ek firdausi tabassum ki sunahri chandni dhime dhime, zina zina gungunati, raqs farmati hui baam-e-gham se khana-e-dil mein utar kar thapthapati hai mujhe git gati hai, kabhi lori sunati hai mujhe aur phir jab subh ko khurshid-e-alam-tab ki pahli kiran gudgudati hai mujhe kar-gah-e-dahr mein wapas bulati hai mujhe aarzu o justuju dil mein jawan pata hun main shauq ki mai ke nashe mein chur ho jata hun main!!