thes lag jae to nadi ki tarah thes lag jae to nadi ki tarah pahron bahte hain apni aankhon mein koi chhede to kuchh nahin kahte surat-e-gul hawa se kya shikwa sham ki aanch se ulajhna kya han magar sans mein koi larzish muddaton sath sath rahti hai kis ko batlaen kis qadar nauhe ranj mein kis qadar base naghme git milne ke aur bichhadne ke kitne kirdar ek kahani ke apne ehsas mein sisakte hain jin ko ye log sochte bhi nahin aise rishton ko hum pirote hain abr ki tarah sae ki chadar sab ki ruhon pe dal dete hain aur sari thakan azabon ki ek barish mein dhaal lete hain khud sulagte hain kuchh nahin kahte khud sisakte hain kuchh nahin kahte surat-e-gul hawa se kya shikwa sham ki aanch se ulajhna kya aansuon se bane hue hum log