shayad ki bahaar aai

baithe baithe safedi pe tarikhi kirnon ka ghera khula
lambi shakhon ke sae zamin par gire

sans mein purza purza hua
bas ban kar khuli

mere kamre ki khidki se bahar bahaar aa gai
ya shayad thakan aur andhere mein karwat badalte hue

main ne sapne mein dekha
bahaar aa gai

ek bhule hue sal ke chand ki raushni
mere hathon pe hai

aise alfaz jaise mohabbat badan
ruh aur dil ki pahnaiyan

aise alfaz bhi jaise
ghar rasta manzilen

unche unche darakhton ke patte
hamesha hamesha tar-o-taza sabza

mein bimar hun mere hathon mein rasha hai
tangon se pinjar udhadta chala ja raha hai

yahan kaun dekhe
zamane ka andher

aankhon mein pighli hui fal
din aage pichhe hain talab mein bachche pani udate hain jaise

phisalte hain mauhum mauhum
kabhi unghte mein wo sare manazir

jo daman ko khole hue mere pahlu mein hain
mere hathon se gir jate hain

ek jhonka kitabon ke auraq mein
raat bhar jagta hai

raat bhar nind halkore deti hai
bistar pe leta hun kitne hi bistar qataron mein aage

bichhe hain
main har ek bistar pe leta hun

dinon ke sahaare
main mazi ki railing se lag kar khada

lambe hathon ki larzish se
is ke badan ko hawa ki tarah chhu ke aage nikal jata hun

itni sadiyon ki galiyon mein raqsa barahna
jo main hun

nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close