mere hath sawali hain

mere hath sawali hain
aur main ulta kunen ki tah mein

pani ke kandhe jhatak jhatak kar
kirnon ke yakh-basta kabutar dhundh raha hun

chup ke raste lambe ho kar tanha kiwadon tak pahunche hain
kis ki dastak kaun aaya hai

kaun hai ye jo barish ke anjaane
tarannum ki chhatri ke niche khada hai

ye sunsan haweli aur lakdi ke phatak
kis ka rasta takte takte budhi umr ko panche hain

kal jab chand hawa ke tangon mein se
sikka ban kar girta tha

kati fasl ke danthal dudh ki poron mein ghulte the
aur main apna ham-chehra tha

donon hath mohabbat wale dil ki sabz munderon par the
phir na jaane aadhi raat ko kis ke panw

jaan ke zakhmon mein se phute
aur sada ki kali aandhi

dur ufaq se gard ka batwa le kar uthi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close