mujhe yaqin tha ki mazhabon se koi bhi rishta nahin hai in ka mujhe yaqin tha ki in ka mazhab hai nafraton ki hadon ke andar mujhe yaqin tha wo la-mazhab hain ya un ke mazhab ka nam hargiz siwae shiddat ke kuchh nahin hai magar ai hamdam yaqin tumhaara jo dagmagaya to kitne insan jo ham-watan the jo ham-safar the jo ham-nashin the wo thahre dushman talash-e-dushman jo shart thahri to bhul baithe ki mazhabon se koi bhi rishta nahin hai in ka ki jis ko tana diya tha tum ne ki us ke mazhab ki kokh qatil ugal rahi hai wo man ki jis ka jawan beta tumhaare wahm-o-guman ki aandhi mein gum hua hai tumhaare badle ki aag jis ko nigal gai hai wo dekho ab tak bilak rahi hai wo muntazir hai koi to kandhe pe hath rakkhe kahe ki hum ne bhi qatilon ki kahaniyon par yaqin kiya tha kahe ki hum ne gunah kiya tha kahe ki man hum ko muaf kar do kahe ki man hum ko muaf kar do