ghane darakht ke sae mein kaun baitha hai tasawwuraat ki sau mishalen jalae hue riyaz-o-fikr ki lahren jawan chehre par siyah zulf mashiyyat ka dil churae hue ye iztirab ki andar ka dil dhadakta hai ye irtiash ki kohsar thartharae hue ye aadmi na kahin zabt-e-zindagi sah kar mujhi se chhin le mere kanwal jalae hue kaho kaho kisi rangin titari se kaho ki apne honton pe naghmon ka bar uthae hue zamin ki samt rawana ho bijliyon ki tarah jala ke rakh hi kar de mahal banae hue wo meinka ne fazaon mein rag chheda hai wo ghungruon ki sadaen zamin uthae hue rishi ki aankhon mein us ragni se dip chale labon se khinch liya ras nazar milae hue suna hai aaj bhi andar ka takht baqi hai wahi hain rang-mahal ab bhi jagmagae hue magar abhi mere mathe pe nur raqsan hai meri shikast se parwardigar larzan hai