wo ja chuka hai hamin ne use nikala hai ye kya hua ki ek ek chiz uth gai us ki wo ek kone mein rahta tha par gaya jab se har ek kone mein rahta dikhai deta hai chamak rahi hain dar-o-baam us ki tahriren tahal rahi hain sadaen yahan-wahan us ki kahin pe naqsh hai us ki nigah ka partaw khudi hui hai kahin us ke panw ki aahat basa hua hai wo diwar-o-dar ke sine mein bikhar chuka hai yahan ke har ek zarre mein ajib tarah se aabaad hai ye virani gala dabaata hai aaseb dam ulatta hai ye wahima hai yahi aagahi to aa jae khuda nahin na sahi aadmi to aa jae makan khali hai kab se koi to aa jae