aaj ki raat bahut sard bahut kali hai tirgi aise lipatti hai hawa-e-gham se apne bichhde hue sajan se mili hai jaise mishal-e-khwab kuchh is taur bujhi hai jaise dard ne jagti aankhon ki chamak kha li hai shauq ka nam na khwahish ka nishan hai koi barf ki sil ne mere dil ki jagah pa li hai ab dhundalke bhi nahin zinat-e-chashm-e-be-khwab aas ka rup-mahl dast-e-tahi hai jaise bahr-e-imkan pe kai si jami hai jaise aise lagta hai ki jaise mera mamura-e-jaan kisi sailab-zada ghar ki zabun-haali hai na koi dost na tara ki jise batlaun is tarah tut ke bikhra hai ana ka shisha mera pindar mere dil ke liye gali hai nabz taron ki tarah dub rahi hai jaise! gham ki pinhai samundar se badi hai jaise! aankh sahraon ke daman ki tarah khali hai wahshat-e-jaan ki taraf dekh ke yun lagta hai maut is tarah ke jine se bhali hai jaise tirgi chhatne lagi, waqt rukega kyun-kar subh-e-khurshid liye dar pe khadi hai jaise dagh-e-ruswai chhupane se nahin chhup sakta ye to yun hai ki jabin bol rahi hai jaise!