shikast-e-husn

khoe hue hain sar ko jhukae hue hain aap
jaise ki bar-e-ishq uthae hue hain aap

dil mein kasak nigah mein jhijak tan mein irtiash
ranginiyon mein aaj nahae hue hain aap

buta sa qad wo bholi si surat badan gudaz
uf kitni dil-farebi chhupae hue hain aap

rangini-e-jahan mein ulajhti nahin nigah
allah kis ko apna banae hue hain aap

kis ko talash karti hai bhatki hui nigah
kis par sukun-e-qalb lutae hue hain aap

ye kis ki yaad sine mein leti hai chutkiyan
ye kis ki dhun mein khud ko bhulae hue hain aap

kis ke liye ye aankhon mein aansu jigar mein dard
kis ka khayal dil se lagae hue hain aap

aansu ke kanpte hue qatre mein kaun hai
sahmi nazar mein kis ko chhupae hue hain aap

kis ke bhare hain rang ye qaus-e-hayat mein
kis ko nafas nafas mein chhupae hue hain aap

kya mil gain 'habib' se aankhen khata muaf
jaise shikast ishq se khae hue hain aap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close