khitta-e-arz pe kya shan hai teri urdu tu meri zist ka arman hai meri urdu tujh ko bakhsha gaya duniya mein mualla ka khitab tu wo jauhar hai ki tera nahin duniya mein jawab gulshan-e-dahr mein maujud hai khushbu ki tarah tu hai sahra-e-khayalat mein aahu ki tarah teri azmat koi 'ashraf' ki zaban se puchhe nafs-e-mazmun tera 'khusraw' ke bayan se puchhe yun to kahne ko watan hai tera ye barr-e-saghir magar ai laila-e-jaan tera har ek dil hai asir tujh pe nazan thi quli 'qutb' ke jazbaat ki rau kabhi dilli to kabhi lakhnau pahunchi teri zau tujh ko eazaz-e-ajab shahjahan ne bakhsha lutf-e-shaistagi 'sauda' ki zaban ne bakhsha aa gaya dil mein tere 'mir-taqi-mir' ka soz de gaya dard ki lazzat tujhe 'dil-gir' ka soz 'momin'-o-'zauq' ke afkar tujhe ras aae zehn-e-'ghaalib' ke khayalat tere pas aae aa gaya tere kaf-e-dast mein aalam ka zamir kar gae tujh ko sar-afraaz 'anis' aur 'dabir' 'dagh' ne tujh ko diye ishq ke andaz nae fikr-e-'iqbaal' se kya kya na mile raaz nae 'josh' ki shoala-bayani ne tujhe di wusat 'arzu' ki hama-dani ne tujhe di waqat kar gaya tujh ko buland 'al-e-raza' ka uslub de gaya lahja-e-nau 'faiz' ka dhima uslub shadi-o-gham mein tujhe yaad kiya karte hain teri aawaz mein fariyaad kiya karte hain