mujhe maghlub karne ko mere jazbaat ke andokhta hilon ko uksa kar wo kahte hain teri aankhon teri banhon mein jannat ke shagufon ki mahak aasaishon ki lazzaton ka lams rachta hai magar ab khwahishen panw pakadti hain nae khwabon ke jalon mein ulajhte sans kahte hain kabhi to phaile hathon ke tamawwuj mein simat jaane ki targhib-o-ishaarat ko guzarti saaton se mawara aise zamanon ki faza samjho jahan sae simat kar ek hun taslim-e-jaan tak ki humak jage kabhi thahro kabhi badhti hui maujon se ham-aghosh hoti tez lahron ki faza hone mein yak-jaani ki pinhan sarkhushi dekho kabhi us jabr-e-be-andaz ke phande se niklo aur racho us mein ki wo khud tum mein rachne ke liye betab daim hai rachao hath mein is tarah mehndi log kah uthin use chahat ki be-payan tapish ki hiddaten gulzar karti hain rachao hath mein is tarah mehndi ye tapan nangi hatheli apna paikar surkhiyon se dhanp le aise ki dil ke tishnagi aasar jazbe bhi tazabzub ke dhundlakon se nikal kar roz-o-shab ki naghmagi ko jazb karne par hun aamada magar rangon ko aakhir jabr-e-be-rangi ka khamyaza muqaddar hai agar yun apne hathon se lagai mehndiyon ke rang ud jaen to hasrat-zada aankhen kise chahen kise paband-e-dar samjhen kise dhunden