kab se is aatish-e-nafas ka ye dabistan-e-qadim chal raha tha na-gahan nikla natija imtihan ilm-e-asma ka tabhi se rah gai ho kar muqaffal ye imarat aur chhutti par moallim apne hujre mein muqim aadam-e-khaki ki paidaish se pahle jin ka kahna tha zamin par khun bahaega ye nahaq aur machaega fasad ab wahi peshengo umid-war is ke gun gate hue thakte nahin imtihan-gah-e-muqaddar ho to aisi jis mein pur-tab-o-tawan hum kar-pardazan-e-fitrat la-jawab aur aadam us ki tinat mein to goya hal-shuda pahle se the sare sawal jin mazahir ki taraf dekha nazar bhar kar maani ke damak athe unhin mein muzmiraat hikmat-e-ashya ke sanche mein dhali be-sakhta ism-afrini marhaba khak-e-be-miqdar ke zarraat mein jauhar-e-nutq-o-bayan aisa bhi makhfi hai kise malum tha imtihan khatm aur masjud-e-malaik ban gai insan ki zat main ne lekin shewa-e-inkar apnaya ki main aatish-e-nihad martabe mein khak-e-uftada se bartar asl mein wala guhar chahe aflak-o-zamin par phail kar chha jae ye musht-e-ghubar harba taskhir lekin kargar mujh par bhi ho is ka yahi ek marhala hai marke ka imtihan ye sakht-tar hai kaamyabi is mein bhi pae yahi umid-war khush-guman aasan nahin meri apni ek lughat hai jis mein asma ke maani bar-bar ek nai tabir ke aaina-dar mansab-e-azadgi aadam ka ek parwana-e-ghaarat-gari is mein likha hai aur aagahi tabahi ke wasael tak rasai ka jawaz is mein chhapa hai al-gharaz is khel ka mohara wahi ilm-e-asma hai magar ek pur-fusun taqlib-kari ka shikar ek pur-fusun taqlib-kari ka shikar