main ne gul-rez bahaaron ki tamanna ki thi mujhe afsurda nigahon ke siwa kuchh na mila chand sahmi hui aahon ke siwa kuchh na mila jagmagate hue taron ki tamanna ki thi main ne mauhum umidon ki panahen dhundin shiddat-e-yas mein mubham sa ishaara na mila dagmagate hue qadmon ko sahaara na mila hae kis dasht-e-bala-khez mein rahen dhunden ab fusun-saz bahaaron se mujhe kya matlab aaj hi meri nigahon mein wo manzar tauba main ne dekhe hain lapakte hue nashtar tauba khuld bar-dosh nazaron se mujhe kya matlab aasman nur ke naghmat se mamur sahi main ne ghatti hui chikhon ke sune hain nauhe hae wo ashk jo palkon se dhalak bhi na sake zindagi husn-o-jawani se abhi chur sahi kabhi zau-pash sitaron ki tamanna thi mujhe aaj zarron ko bhi maqsud bana rakkha hai aaj kanton ko kaleje se laga rakkha hai kabhi gul-rez bahaaron ki tamanna thi mujhe