jaan tum ko khabar tak nahin log aksar bura mante hain ki meri kahani kisi mod par bhi andheri gali se guzarti nahin ki tum ne shuaon se har rang le kar mere har nishan-e-qadam ko dhanak saunp di na gum-gashta khwabon ki parchhaiyan hain na be-as lamhon ki sargoshiyan hain ki nazuk hari bel ko ek tawana shajar an-ginat apne hathon mein thame hue hai koi na-rasai ka aaseb us rahguzar mein nahin ye kaisa safar hai ki rudad jis ki ghubar-e-safar mein nahin