apne sine se lagae hue ummid ki lash muddaton zist ko nashad kiya hai main ne tu ne to ek hi sadme se kya tha do-chaar dil ko har tarah se barbaad kiya hai main ne jab bhi rahon mein nazar aae hariri malbus sard aahon mein tujhe yaad kiya hai main ne aur ab jab ki meri ruh ki pahnai mein ek sunsan si maghmum ghata chhai hai tu damakte hue aariz ki shuaen le kar gul-shuda shamen jalane ko chali aai hai meri mahbub ye hangama-e-tajdid-e-wafa meri afsurda jawani ke liye ras nahin main ne jo phul chune the tere qadmon ke liye un ka dhundla sa tasawwur bhi mere pas nahin ek yakh-basta udasi hai dil o jaan pe muhit ab meri ruh mein baqi hai na umid na josh rah gaya dab ke giran-bar salasil ke tale meri darmanda jawani ki umangon ka kharosh regzaron mein bagulon ke siwa kuchh bhi nahin saya-e-abr-e-gurezan se mujhe kya lena bujh chuke hain mere sine mein mohabbat ke kanwal ab tere husn-e-pashiman se mujhe kya lena tere aariz pe ye dhalke hue simin aansu meri afsurdagi-e-gham ka mudawa to nahin teri mahbub nigahon ka payam-e-tajdid ek talafi hi sahi meri tamanna to nahin
Please share if you liked this!!!