shab-e-wasl kyon hain rulane ki baaten karo kuchh to hansne hansane ki baaten dil-e-na-tawan ko manane ki baaten nahin hain nahin hath aane ki baaten munasib hai kuchh intizam-e-masarrat pilao pilao sharab-e-mohabbat tumhi kah do kuchh had hai zulm-o-jafa ki wafa ki tarah sari duniya hai shaki kabhi ye ada ki kabhi wo ada ki rahi shakl abtar dil-e-mubtala ki nahin hain nahin hain mohabbat ki baaten haqiqat mein ye hain adawat ki baaten