rukhsat hote suraj ki kirnon ka aanchal thame thame main bhi chhat par ja pahunchi thi mere gile-shikwe to sare gunge ban baithe the aur meri kuchh kahti aankhen bara-dari ki chilman ke haalon mein phansti thin phir kyun ganw se jate jate gali ke mod pe rukte rukte tum ne upar, meri jaanib dekha tha aur tumhaara uthta hath zara sa kanp gaya tha aur tumhaari raushan raushan aankhen bujh si gai thin dur ufuq mein suraj dub gaya tha