tu hamesha rahta hai chin-bar-jabin afsurda dil phir kisi ki bazm-e-ishrat mein na ja bahr-e-khuda khud hi apni jaan se be-zar tu insaf kar tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah khush honge bhala chahiye is tarah jaana mahfil-e-ahbab mein bagh mein jis tarah khush khush aati hai baad-e-saba khair-maqdam ka ishaara jhum kar karti hai shakh aur chatak kar deti hain kaliyan sada-e-marhaba jis shajar ke pas se guzre laga wo jhumne pahunche jis ghunche tak afsurda tha wo hansne laga dil pe jo guzre wo guzre kyun kisi ko ho khabar sab se badh kar hai khuda tu haal dil ka jaanta shadi-o-gham jab ki donon hain jahan mein be-sabaat waqt apna kat de hans bol kar bahr-e-khuda