moti ho ki shisha jam ki dur jo tut gaya so tut gaya kab ashkon se jud sakta hai jo tut gaya so chhut gaya tum nahaq tukde chun chun kar daman mein chhupae baithe ho shishon ka masiha koi nahin kya aas lagae baithe ho shayad ki inhin tukdon mein kahin wo saghar-e-dil hai jis mein kabhi sad-naz se utra karti thi sahba-e-gham-e-jaanan ki pari phir duniya walon ne tum se ye saghar le kar phod diya jo mai thi baha di mitti mein mehman ka shahpar tod diya ye rangin reze hain shayad un shokh bilorin sapnon ke tum mast jawani mein jin se khalwat ko sajaya karte the nadari daftar bhuk aur gham un sapnon se takraate rahe be-rahm tha chaumukh pathrao ye kanch ke dhanche kya karte ya shayad in zarron mein kahin moti hai tumhaari izzat ka wo jis se tumhaare ijz pe bhi shamshad-qadon ne rashk kiya is mal ki dhun mein phirte the tajir bhi bahut rahzan bhi kai hai chor-nagar yan muflis ki gar jaan bachi to aan gai ye saghar shishe lal-o-gohar salim hon to qimat pate hain yun tukde tukde hon to faqat chubhte hain lahu rulwate hain tum nahaq shishe chun chun kar daman mein chhupae baithe ho shishon ka masiha koi nahin kya aas lagae baithe ho yaadon ke girebanon ke rafu par dil ki guzar kab hoti hai ek bakhiya udheda ek siya yun umr basar kab hoti hai is kar-gah-e-hasti mein jahan ye saghar shishe dhalte hain har shai ka badal mil sakta hai sab daman pur ho sakte hain jo hath badhe yawar hai yahan jo aankh uthe wo bakhtawar yan dhan-daulat ka ant nahin hon ghat mein daku lakh magar kab lut-jhapat se hasti ki dokanen khali hoti hain yan parbat-parbat hire hain yan sagar sagar moti hain kuchh log hain jo is daulat par parde latkate phirte hain har parbat ko har sagar ko nilam chadhate phirte hain kuchh wo bhi hain jo lad bhid kar ye parde noch giraate hain hasti ke uthai-giron ki har chaal uljhae jate hain in donon mein ran padta hai nit basti-basti nagar-nagar har baste ghar ke sine mein har chalti rah ke mathe par ye kalak bharte phirte hain wo jot jagate rahte hain ye aag lagate phirte hain wo aag bujhate rahte hain sab saghar shishe lal-o-gohar is bazi mein bad jate hain uttho sab khali hathon ko is ran se bulawe aate hain