sal-ha-sal ye be-asra jakde hue hath raat ke sakht o siyah sine main paiwast rahe jis tarah tinka samundar se ho sargarm-e-satiz jis tarah titari kohsar pe yalghaar kare aur ab raat ke sangin o siyah sine mein itne ghaw hain ki jis samt nazar jati hai ja-ba-ja nur nai ek jal sa bun rakha hai dur se subh ki dhadkan ki sada aati hai tera sarmaya teri aas yahi hath to hain aur kuchh bhi to nahin pas yahi hath to hain tujh ko manzur nahin ghalba-e-zulmat lekin tujh ko manzur hai ye hath qalam ho jaen aur mashriq ki kamin-gah mein dhadakta hua din raat ki aahani mayyat ke tale dab jae!