jab raat bhig jati hai to us ka nam kor-basar khwabon ke sukhe labon tak pahunchta hai aur tishna-kaam khwabon ka dam tutne se zara pahle un ko zindagi ki nawed sunata hai khwab jab maut ke dahane se palat kar aate hain to zindagi un ke rag-o-pai mein surat se daudti hai mahmez-e-shauq mein wo apni be-basari ko faramosh kiye tez-raftari ki aakhiri mumkina had ko chhute hue tabir ki manzil tak pahunchna chahte hain maut ka saham un ke aasab shal kiye deta hai be-basari unhen nazar nazar bhatkati hai zindagi ki be-sabaati ka khauf dew-haikal jallad ki surat mujassam ho kar un ki shah-rag dabochne ke darpe hota hai wo jaante hain ki chah kar bhi is giraft se der tak aur dur tak aazad nahin rah sakte usi khauf ke zer-e-asar mayassar waqt mein wo sadiyon ko lamhon mein ji lena chahte hain aur lamhon se sadiyan kashid karna chahte hain