ghani tirgi thi basarat ko apne na hone ka yaksar yaqin ho chala tha kai ghair malfuz aawazen wahshat mein dhalti chali ja rahi thin yahan tak ki har zi-nafas samea ke na hone ko neamat ki surat talab kar raha tha magar jab ufuq ke kinare se ek raushni ka pharera sa lapka kahin dur se teri aawaz aai to wahshat ke mani badalne lage aur kai be-zaban hairaten apne hone ke ehsas se chikh utthin yakayak magar aisi chikhen ki jin ke batn mein na wahshat na dahshat koi sarkhushi thi sarasimgi thi zamin hairati thi ki ye kaisi chikhen fazaon mein ghulti chali ja rahi hain khushi aur ghami ke maani ko yaksar badalta hua raushni ka pharera hawa ke dabao se lahra raha hai ajab tirgi thi ajab raushni thi ajab shor tha aur ajab khamushi thi jo hone ki tah se na hone ke bhedon ko sochon ke sahil talak la rahi thi