zard taron se nikal kar raushni bhi dhundhti hai rah shayad so bikhar jati hai har ek samt goya dhund legi wo har ek manzil har ek raste pe chal ke kash main bhi dekh pata sari rahon pe safar kar jaan pata chhod aaya hun main kya kya aur kya kya tak raha ho meri rahen roz-e-mahshar tak khudaya kaun lekin chal saka hai kaun chal sakta hai har rah khair shayad main nahin rakh paya wada aur kahti hai saba phir chhod do ab uth chalo ab ye tasawwur be-maani ye takaffur raegan hai