ye zindagi gulon ki ek sej hai na khar-o-khas ka dher hai bas ek imtihan ka latif sa sawal hai sawal ka jawab to muhaal hai bas itna hi samajh len hum ki zist dhup chhanw hai kahin pe ye nasheb to kahin pe ye faraaz hai jahan bithae ye hamein wahin pe hum bisat-e-zat dal kar kiran kiran se kuchh na kuchh hararaten nichod len tamazaten samet len kuchh is tarah ki chhanw ki inayaton bashaaraton ka ek yaqin bhi sath ho!