main jaanta hun shuur ki tah ke phatakon par jo qufl hai, wo kalid bhi hai main jaanta hun ki phatakon ko main khol sakta hun, jab bhi chahun magar mujhe apne jism ko bhent karna hoga katana hoga badan ko apne ki junhi phatak khulenge mujh ko bashar se haiwan banna hoga karodon barson ke irtiqa ko phalang kar pichhe jaana hoga shuur ki tah ke phatakon se pare jo baithi hai kali-dewi wahi mujhe irtiqa se pichhe phalangne ka payam de kar ye kah rahi hai tum ek haiwan the, ek haiwan ho ye baat achchhi tarah samajh lo main sun raha hun khud apni aawaz mein ye jumla ki main to tum tak pahunch gaya tha guzishta shab chand ke nikalne se pesh-tar hi libas utre hue badan par meri ragon se umadta mera lahu to tum ne zarur dekha hai, kali dewi wo haddiyan jin se gosht nocha gaya tha mera sapid jaise dhuli hui hon! utho mere la-shuur mein baithi kali-dewi mujhe sameto siyah bahon mein aage aa kar ki main ne ye bandagi itaat khud apni marzi se, apne dil se qubul ki hai mera lahu, meri haddiyan, mera gosht hatta ki ruh meri tumhein samarpan hai, meri dewi main jaanta hun shuur ki tah ke phatakon par jo qufl hai wo kalid bhi hai magar kabhi ek sawal sa apna sar uthata hai mere dil mein kalid ko phenk dun agar to?