tanhai ke jute pahne hum second-hand qabron mein rah rahe hain hamein akele-pan ki mashinon mein dal kar sikhaya ja raha hai ki maut se jang ho jae to kamar par goli kha kar maidan se bhagna nahin hai hamare sine parcham ki tarah lahra rahe hain barsat ka mausam nahin magar maut puri shiddaton ke sath tamam shahron par baras rahi hai hum apni apni qabron mein pade sochte hain zindagi ki riyazi mein faqat nafi ki mashqen kyon hoti hain hamari aankhen din bhar diwaron par sirf janaza-gahen paint karti rahti hain agarche hamare sath kisi ki aankhen nahin jaengi na koi muskurahat na alwida'i bosa koi curfew jaisi maut bhi marta hai aaj se pahle ye sawal kahin paida nahin hua tha hum sirf apni aankhon se zinda rah kar apne aap ko baaton mein lagae hue hain jaane kab ye rabta munqata ho aur hum second-hand qabron se plastic ke thailon mein muntaqil ho jaen