koi patta bhi nahin hilta, na pardon mein hai jumbish phir bhi kanon mein bahut tez hawaon ki sada hai kitne unche hain ye mehrab mahal ke aur mehrabon se uncha wo sitaron se bhara thaal falak ka kitna chhota hai mera qad farsh par jaise kisi harf se ek nuqta gira ho sainkadon samton mein bhatka hua man thahre zara dil dhadakta hai to bas daudti tapon ki sada aati hai raushni band bhi kar dene se kya hoga andhera? sirf aankhen hi nahin dekh sakengi ye chaugarda, main agar kanon mein kuchh thuns bhi lun raushni chinta ki to zehn se ab bujh nahin sakti khud-kashi ek andhera hai, upae to nahin khidkiyan sari khuli hain to hawa kyun nahin aati? niche sardi hai bahut aur hawa tund hai shayad dur darwaze ke bahar khade wo santari donon sham se aag mein bas sukhi hui tahniyon ko jhonk rahe hain meri aankhon se wo sukha hua dhancha nahin girta jism hi jism to tha, ruh kahan thi us mein kodh tha us ko tap-e-diq tha? na jaane kya tha? ya budhapa hi tha shayad pisliyan sukhe hue kekaron ke shakhche jaise rath pe jate hue dekha tha chatanon se udhar apni lathi pe gire ped ki manind khada tha phir yaka-yak ye hua sarthi, rok nahin paya tha, munh-zor samay ki tapen rath ke pahiye ke tale dekha tadap kar ise thanda hote! khud-kashi thi? wo samarpan tha? wo durghatna thi? kya tha? sabz shadab darakhton ke wajud apne mausam mein to bin mange bhi phal dete hain sukh jate hain to sab kat ke is aag mein hi jhonk diye jate hain jaise darwaze pe aamal ke wo donon farishte sham se aag mein bas sukhi hui tahniyon ko jhonk rahe hain