rahi hai hazrat-e-yazdan se dosti meri raha hai zohd se yarana ustuwar mera guzar gai hai taqaddus mein zindagi meri dil ahrman se raha hai satiza-kar mera kisi pe ruh numayan na ho saki meri raha hai apni umangon pe ikhtiyar mera dabae rakkha hai sine mein apni aahon ko wahin diya hai shab o roz pech-o-tab unhen zaban-e-shauq banaya nahin nigahon ko kiya nahin kabhi wahshat mein be-naqab unhen khayal hi mein kiya parwarish gunahon ki kabhi kiya na jawani se bahryab unhen ye mil rahi hai mere zabt ki saza mujh ko ki ek zahr se labrez hai shabab mera aziyaton se bhari hai har ek bedari muhib o ruh-satan hai har ek khwab mera ulajh rahi hain nawaen mere sarudon ki fishaar-e-zabt se be-tab hai rabab mera magar ye zabt mere qahqahon ka dushman tha pyam-e-marg-e-jawani tha ijtinab mera lo aa gai hain wo ban kar muhib taswiren wo aarzuen ke jin ka kiya tha khun main ne lo aa gae hain wahi pairwan-e-ahraman kiya tha jin ko siyasat se sar-nigun main ne kabhi na jaan pe dekha tha ye azab-e-alim kabhi nahin ai mere bakht-e-wazhgun main ne magar ye jitni aziyyat bhi den mujhe kam hai kiya hai ruh ko apni bahut zubun main ne ise na hone diya main ne ham-nawa-e-shabab na is pe chalne diya shauq ka fusun main ne ai kash chhup ke kahin ek gunah kar leta halawaton se jawani ko apni bhar leta gunah ek bhi ab tak kiya na kyun main ne