un sidhiyon par aur un se upar ek tang makan ke farsh par ikkiswin sadi ka koi musawwir wo hont daryaft nahin kar saka jo tumhaare pairon ko chum nahin sake aur makan ki wo diwaren jin se tumhaari kamar ragad nahin kha saki aur koi nazm tumhaari khwahish karne wale wo lafz nahin dhund saki jo in sidhiyon se upar ek tang makan ki diwaron ke darmiyan ek shakhs se faramosh ho gae ya jinhen us ne kaghaz par darashti se kat diya ya likhe baghair tark kar diya ya apni aankhon ko saunp diya ki ek roz tum unhen aasani se padh sako aur ziyaada aasani ke sath un ka inkar kar sako