nahin 'hamesh' aisa mat hone do abhi to tumhein ism dena hai us roti ke tukde ko jise duniya bhar ki bhuk se churaya gaya aur gharibi kis desh ki dew-mala hai tumhein ism dena hai naujawani ke dinon ki us umang ko ya is ke nam ke ped ki tuti hui ek patti ko ya adhuri sachchaiyon ke nam par jalai gai kitabon ko dekho han abhi abhi ek khayal mitti par rakkha gaya hai kahin use la-watan na kar diya jae mokhon par hansne ke liye bhi to ek hi jaisi hansi rah gai hai yahan tak ki bijli chali jati hai aur andesha hota hai ki us arse mein main us aawaz mein billi ke panjon panjon se khurunchne wali saffaki badh gai ho ek aadmi ka dil hai ki aasani se nahin manta warna auraton galiyon se kutte billi to mar hi jate hain ye jaante hue bhi ki mohabbat ko adakariyon se bachae rakhne ke liye tumhein intizar karna hai